Woh Ankahee Khushi

Kabhi kabhi zindagi mein aisa koi hota hai, jise dekh kar bas apne aap ek halki si muskaan chehre par aa jati hai. Koi aisa, jise dekhna humare liye din ki sabse badi khushi ban jata hai. Chupke chupke unhe dekhna, aur jab woh humein dekhen, toh jaldi se nazrein chura lena — sirf isliye ki woh humein galat na samjhein. Phir unke aane ka intezaar karna, sochna ki aayenge bhi ya nahi... aur agar aaye, toh kya humein notice karenge? Kya kabhi aakar baat karenge?

Kahi na kahi, apne aapko underestimate karna shuru kar dete hain. "Mujhse baat kyun karenge? Main unke liye kaun hoon?" Lekin jab unki nazar hum par padti hai, toh lagta hai jaise saara din ban gaya ho. Din bhar ki umeed us ek pal par tik jati hai.

Aur phir, jab kisi din woh na aaye, toh man mein yeh sawal uthta hai — "Main bhi kyun aa gaya? Shayad aaj nahi aana chahiye tha." Ghar wapas aakar, unke bare mein sochna — "Kya woh mere bare mein bhi kabhi sochte hain? Kya woh bhi kuch feel karte hain?"

Ye sab soch soch kar, apne andar hi ek ajeeb si khushi ko mehsoos karna... Aur phir, apne aap se poochhna, "Main aisa kyun soch raha hoon?"

Woh anjaane ehsaas jo hamesha humein khud se baat karne pe majboor karte hain. Shayad yeh pyar hota hai ya nahi, yeh hum nahi jaante. Lekin yeh ek khoobsurat ehsaas hota hai — jo hum kisi ko bayan nahi kar paate. Bas, dil ke kisi kone mein ek halki si muskaan aur halka sa sukoon chhoda jaata hai. Acha lagta hai pal bas yeh soch kar guzarna, ki kuch toh hai, jo shayad kabhi samjh nahi paayenge, lekin mehsoos zaroor hota hai.

Comments

Popular posts from this blog

Tech Tips for Beginners

Mastering Java 8: Core Concepts Every Developer Should Know 🚀

10 Easy and Affordable Home Decor Ideas to Refresh Your Space